Corona Virus Caller Tune Deactivate 2020 - Facto Tech

coronavirus caller tune deactivate


Swasth Mantralaya Ne Dursanchar Vibhag Se Sabhi Darsanchar Company Ko Apne Network Par 30 Second Ki COVID -19 Roktham Caller Tune Jodane Ka Aadesh Dene Ko Kaha Hai. Swastha Mantralaya Ke Anusar BSNL, JIO, AIRTEL, VODAFONE, IDEA, MTNL Jaise Sabhi Company Ne 117.2 Caror Users Ke Network Par Corona Virus Caller Tune Ko Set Kiya Hai.

Corona Virus Ki Is Caller Tune Mein Shuruat Mein Ek Khasi Ki Aawaj Aati Hai Aur Phir Baad Mein Ek Ladki Ki Aawaj Mein Corona Virus Se Judi Sari Jankariya Deti Hai. Jaise - Corona Virus Se Kaise Bache. Corona Virus Ke Lakshan Kya Hai. 

Is 30 Second Ki Caller Tune Mein Corona Virus Se Judi Sari Jankari Milti Hai Jo Kafi Had Tak Sabhi Logo Ke Liye Sahi Hai. Aur Is Caller Tune Mein Apko Rules Diye Jate Hai Ki Aap Ko Corona Virus Se Bachne Ke Liye Kon Kon Se Upay Aur Sawdhani Rakhna Chahiye. Is Caller Tune Ke Jariye Yah Baat Sabhi Logo Tak Pahuchne Ka Bahut Hi Sahi  Aur Achha Tarika Hai.

Corona Virus Caller Tune Ko Kaise Hataye?


Corona Virus Ki Yah Caller Tune Jitni Sahi Hai Har Vykti Ke Liye Utani Hi Buri Bhi Hai. Kyo Ki Yah Caller Tune Har Baar Call Karne Wale Vyakt Ko Sunai Deti Hai. Jisse Call Karne Wala Vykti Pareshan Hota Hai. Aur Uska Jo Kaam Phone Ke Madhyam Se Hona Hai Us Kaam Mein Deri Hoti Hai. Aur Har Wo Vyakti Jo Is Caller Tune Ko Sunta Hai Wo Bas Is Corona Virus Ki Caller Tune Ko Hatane Ki Sochata Hai.

Corona Virus Caller Tune Ko Band Kare.


Step 1 - Aap Kisi Ko Bhi Call Kare.

Step 2 - Jaise Hi Call Par Apko Corona Virus  Ki Caller Tune Sunai De.

Step 3 - To Jaldi Se Apne Phone Mein 1 Dabaye Aur Phir Apko Corona Virus Ki Caller Tune Ki Jagah Ring Ki Aawaj Sunai Degi.

Aap Is Tarah Se Corona Virus Ki Caller Tune Ko Band Kar Saktey Hai Aur Hata Saktey Hai.

Note - Yaad Rahe Yah Tarika Apko Har Baar Call Karte Waqt Karna Hoga. Kyo Ki Caller Tune Ko Aap Puri Tarha Se Hata Ya Band Nahi Kar Saktey Hai.

Comments