How To View And Cancel A Request Sent To Instagram? - 2020

Hum Apni Daily Life Mein Internet Ka Bharpur Use Karte Hai. Bahut Sare Social Media Apps Ko Bhi Use Karte Hai. Aur Bahut Sare Social Media Apps Mein Se Kuch To Itne Khas Apps Hai Jinke Bina Hum Aur Hamara Mobile Dono Adhurey Hai. Jese - Facebook, Twitter, WhatsApp, YouTube, Instagram, TikTok.

In Sabhi Apps Mein Se Aap Instagram Ko Bhi Use Karte Hi Honge. Instagram Par Aap Agar Kisi Ko Bina Jane Pachane Follow Karte Hai. Ya Request Sent Karte Hai Aur Aap Ne Jis Vyakti Ko Request Sent Ki Hai Aur Wo Request Accept Nahi Karta Hai. To Aap Apni Sent Ki Hui Request Cancel Karna Chahte Hai. Lekin Kaise Apane Jis Vyakti Ko Request Sent Ki Hai Apko To Uska Naam Hi Nahi Pata Hai. To Aap Us Vyakti Ko Kaise Dhundhenge.Taki Aap Apni Sent Ki Hui Request Cancel Karde.

Agar Aap Chahte Hai Ki Apne Jo Request Sent Ki Hai Unko Dekhe Aur Cancel Kare. To Aaj Is Artical Mein Aapko Pata Chal Jayega. Aap Is Artical Ko Padhate Rahiye. 

Yah Steps Follow Kare. ⬇️

1. Sabse Pahale Profile Wale Icon Par Click Kare.


2. Ab 3 Line Par Click Kare.


3. Settings Par Click Kare.


4. Security Par Click Kare.


5. Ab Data And History Mein Jakar Access Data Par Click Kare.


6. Access Data Mein Aane Ke Baad Connections Ke Anadar Current Follow Request Niche View All Par Click Kare.


7. Current Follow Request Ko Open Ho Jane Ke Baad Aap Waha Dekh Paynge Un logo Ke Naam Jinko Apne Request Sent Ki Hai.



8. Ab Jitne Bhi Naam Apke Samne Open Hue Hai. Un Sabhi Namo Mein Se Us Naam Ko Copy Kare Jisko Apne Request Sent Ki Thi.


9. Ab Home Par Aye Aur Phir Search Wale Icon Par Click Kare.



10. Search Mein Us Naam Ko Paste Kare Jisko Apne Copy Kiya Tha. Search Karne Par Aap Dekh Paynge Ki Us Vyakti Ki Profile Apke Samne Open Ho Gayi Hai.
Ab Profile Par Click Kare.


11. Profile Open Ho Jane Ke Baad Aap Dekh Paynge Ki Apne Request Sent Ki Hui Hai. Request Cancel Karne Ke Liye Request Par Click Karde.


12. Ab Aap Dekh Paynge Ki Apne Jo Request Sent Ki Thi Wo Cancel Ho Chuki Hai Aur Requested Ki Jagah Follow Likha Dikhai De Raha Hai. Aur Aap Is Tarah Instagram Par Sent Ki Hui Request Dekh Skate Hai Aur Cancel Kar Sakte Hai.



App Is Tarah Instagram Par Sent Ki Hui Sabhi Request Cancel Kar Sakte Hai Aur Dekh Sakte Hai.

Hum Ummid Karte Hai Ki Apko Hamre Artical Se Apko Kafi Help Aur Knowledge Mila Hoga. Agar Apko Artical Pasnad Aaye To Apne Doston Mein Share Jarur Kare.




Comments