Videobuddy Movie Not Show On Gallery | Videobuddy | Videobuddy Movie Not Playing | Earning App


Videobuddy Ek Aisa App Jo Bahut Jayada Popular Hai. Aur Videobuddy App Har Kisi 3 Vyakti Mein Se 2 Ke Mobile Mein Mil Jayega. Videobuddy App Jitna Popular Hai Usse Bhi Jayada Popular Hai Videobuddy App Mein Diye Gaye Features Ke Liye.

Aap Is Ek Hi App Se Bahut Kuch Kar Saktey Hai Free Mein Ghar Bethe Aaye Jante Hai Videobuddy App Ke Features Ke Bare Mein.

Videobuddy App Features :-
1. Online Earning
2. Apps Download
3. Movie (Films) Download (Any New Movie)
4. Webseries Download (Any New Webseries)
5. Music (Song) Download (Any Type Of New And Old)
6. Videos Download  (Any Type Of New And Old)


Itna Sab Kuch Aap Free Mein Aur Ghar Bethe Dekh Saktey Hai Aur Download Kar Saktey Hai.

Lekin Itna Sab Kuch Milne Ke Baad Bhi Videobuddy App Par Bahut Badi Problem Har Videobuddy User Ko Face Karna Pad Rahi Hai.

Videobuddy Mein Jo Problem Aarahi Hai Wo Yah Hai Ki Aap Videobuddy App Se Koi Bhi Movie, Webseries, Video Download Karte Hai To Wah Movie, Webseries, Video Gallery Aur File Manager Mein Dikhai Nahi Deti Hai Yani Gallery Aur File Manager Par Show Nhi Hoti Hai. Ab Videobuddy Users Movie, Webseries, Video Download To Kar Lete Hai Par Gallery Aur File Manager Par Dikhai Hi Nahi Degi To Users Us Download Ki Hui Movie, Video, Webseries Ko Dekhega Kaise. Par Yah Problem Jayada Badi Nahi Hai Bas Humko Is Problem Ko Samjhna Hai.

Aaj Is Article Mein Hum Apko Aaj Batayenge Ki Aap Is Problem Ko Sirf Ek Click Mein Sahi Kar Saktey Hai.
Aur Phir Aap Dekh Paynge Ki Apne Jo Movie, Webseries, Video Download Ki Hai Wo 100% Dekh Paynge.




Yah Steps Follow Kare.⬇️

1. Videobuddy App Ko Open Kare.

2. Movie Ya Webseries Option Par Click Kare.


Note - Jo Trick Hum Apko Batayenge Wo Trick Movie, Webseries, Video Teeno Par Work Karegi.

3. Koi Bhi Movie Par Click Kare. (Hum Movie Download Kar Ke Yah Trick Batayenge)

4. Movie Open Ho Jayegi. Full Movie Par Click Kare. 


5. Ab Apke Samne Is Tarah Ka Inter Face Ayega. Agar Aap Free Play Ya Download Par Click Kare.

6. Ab Apko Sabse Pahale Is Movie Ko WhatsApp Par Share Karna Hoga.

7. Movie Ko WhatsApp Par Share Karne Ke Baad Apke Samne Download Options Open Hoga. Aap Kis Bhi Download Wale Button Par Click Kar Ke Movie Ko Download Kare.


8. Ab Videobuddy App Ke Home Par Aaye Aur Download Par Jaye. 

9. Aap Dekh Paynge Apki Movie Download Ho Rahi Hai. Ab Full Movie Download Hone Tak Wait Kare. 

10. Full Movie Download Ho Jane Ke Baad Aap Apne Mobile Ke File Manager Par Jaye. Aur File Manager Ko Open Kare.

11. File Manager Ko Open Karne Ke Baad Internal Storage (Internal Memory) Par Click Kare. 

12. Ab Internal Storage (Internal Memory) 
Mein Videobuddy Folder Ko Dhundhe. Aur Videobuddy Folder Ko Open Kare.

13. Videobuddy Folder Ko Open Hone Ke Baad Aap Dekh Paynge Download Ka Folder To Ab Apko Us Download Wale Folder Par Click Karna Hai.


14. Ab Aap Dekh Paynge Jo Movie, Webseries, Video Apne Download Ki Hai Wo Dikhai De Rahi Hai. Lekin Kuch Alag Hi Format Mein. Agar App Movie Par Click Karte Hai To Movie Play Nahi Hogi. ⬇️



14. Movie, Webseries, Video Ko Play Karne Ke Liye. Rename Wale Option Par Click Kare.


15. Rename Par Click Karne Ke Baad Movie Ka Jo Bhi Naam Hai. Us Naam Mein Last Mein mp4.vbmv Likha Hai. Bas Apko Us mp4.vbmp Naam Mein Se .vbmv Ko Mita (Hata) Dena Hai. Aur Apki Movie, Webseries, Video Play Ho Jayegi Aur Gallery Mein Bhi Aur File Manager Mein Bhi Dikhai Degi.

Note - Vbmv Ke Pahle Jo Dot (•)Laga Hai Us Dot Ko Jarur Mitaye (Hataye).


Bas Apko Videobuddy App Ki Har Video, Movie, Webseries Ko Dekhne Ke Liye Play Karne Aur Gallery Aur File Manager Mein Show Karne Ke Liye Yah Trick Follow Karna Hai.

Ummid Karte Hai Ki Apko Is Article Se Kafi Jayada Help Mili Hogi. Jankaari Pasand Aai Ho To Is Post Ko Share Jarur Kare. Apne Doston Mein. 🔥

Comments

Post a Comment

Please Do Not Enter Any Spem Link In The Comment Box